Saturday 5 January 2013

WASIAT

Kiya Nam Doun Is Tehreer Ko
Is Beraang Tasveer Ko
Kuch Waqt Ki Nazakat Hai
Baki Uski Takat Hai

Dekh K Tarz e Zindagi Sub Ki
Khub Kehke Marti Hai

Usne Pucha K Tujhe Dar Nai
Jawab Tha Ye
Kia Wo Mera Ghar Nahi

Dekhti Rahi Bejaan Ankhoun Me
Jab Tatola Rooh Ko Jism Me
Chaunk K Pucha
Kidar Hai Wo!!!

Mere Laboun Pe Muskan Jo Ai
Sath Ashkoun Ki Barsat Thi Lai
Tera Bohat Intezar Tha Kia
Tune Bohat Bekarar Tha Kia

Utha Le Janaza Bohat Deer Ho gai
Meri Niyat Saer Ho Gai 
Kisi Ko Kia Alvida Kahna Hia
Akhri Paegham Dena Hai

Han Theru!!
Meri Chand Dosto Ko Dudh Dalte rehna
Thand Me Kuch Urhate Rehna
Thori Si Nazme Hain
Kuch Kise Hian
Kuch Nishaniyan Hian
Kuch Kaghzat Hian
Ik Naqsh Hai Mere Watan Ka
Sath Me Hai Parcham Uska

Sub Hawale Karna Uske
Saja Ho Mehtab Jiske

Qabar Pe Phool Na Houn Beshak
Bus Ik Katba Ho
Jis Pe Likha Ho
Mukamal Kia Safar Is Dunia Ka
Saqii Na Rahi Bach Gaya Tukra Wasiat ka...
Saqii