Thursday 15 September 2011

Jag Utho

Ab aur roya nai jata
dil ko samjhaya nai jata
bhoke paet sote hain bache
pankha tak chalaya nai jata

Ab khamoshi ka bhi dum ghot raha hai
sabar ka paimana labraiez ho raha hai
bus ek hi sawal hai gardish mein
Qaum me kiya koi jag raha hai

Buzurg hamare so chuke hain
tarikh mein wo gum chuke hainn
zinda pher se humne hona hai
Andheroun mein kafi hum bhatak chuke

Kahein ye waqt bhi nikal na jaei
aur dusara mauka milna pae
najawano utho
ab nahi to kab
hum nahi to kaun
SAQII

No comments:

Post a Comment